mahraman be-dami ka meri sabab mat puchho
mahramāñ be-damī kā merī sabab mat pūchho
ek dam chhoḌ do yūñhī mujhe ab mat pūchho
girya-e-sham.a kā ai ham-nafasāñ maiñ thā harīf
guzrī hai raat kī sohbat bhī ajab mat pūchho
sar-e-pur-shor se mere na karo koī savāl
hashr the dāḳhil-e-ḳhuddām-e-adab mat pūchho
lab pe shevan mizha par ḳhuun o nigah meñ ik yaas
din gayā hijr kā jis Dhang se shab mat pūchho
'mīr' sāhib na.ī ye tarz ho us kī to kahūñ
mūjib āzurdagī kā vajh-e-ġhazab mat pūchho
mahraman be-dami ka meri sabab mat puchho
ek dam chhoD do yunhi mujhe ab mat puchho
girya-e-shama ka ai ham-nafasan main tha harif
guzri hai raat ki sohbat bhi ajab mat puchho
sar-e-pur-shor se mere na karo koi sawal
hashr the daKHil-e-KHuddam-e-adab mat puchho
lab pe shewan mizha par KHun o nigah mein ek yas
din gaya hijr ka jis Dhang se shab mat puchho
'mir' sahib nai ye tarz ho us ki to kahun
mujib aazurdagi ka wajh-e-ghazab mat puchho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0406
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.