mua main sajde mein par naqsh mera bar raha
muā maiñ sajde meñ par naqsh merā baar rahā
us āstāñ pe mirī ḳhaak se ġhubār rahā
junūñ meñ ab ke mujhe apne dil kā ġham hai pe haif
ḳhabar lī jab ki na jaame meñ ek taar rahā
bashar hai vo pe khulā jab se us kā dām-e-zulf
sar-e-rah us ke farishte hī kā shikār rahā
kabhū na āñkhoñ meñ aayā vo shoḳh ḳhvāb kī tarah
tamām-umr hameñ us kā intizār rahā
sharāb-e-aish mayassar huī jise ik shab
phir us ko roz-e-qayāmat talak ḳhumār rahā
butāñ ke 'ishq ne be-iḳhtiyār kar Daalā
vo dil ki jis kā ḳhudā.ī meñ iḳhtiyār rahā
vo dil ki shām-o-sahar jaise pakkā phoḌā thā
vo dil ki jis se hamesha jigar-figār rahā
tamām-umr ga.ī us pe haath rakhte hameñ
vo dardnāk alarraġhm be-qarār rahā
sitam meñ ġham meñ sar-anjām us kā kyā kahiye
hazāroñ hasrateñ thiiñ tis pe jī ko maar rahā
bahā to ḳhuun ho āñkhoñ kī raah bah niklā
rahā jo sīna-e-sozāñ meñ dāġhdār rahā
so us ko ham se farāmosh-kāriyoñ le ga.e
ki us se qatra-e-ḳhūñ bhī na yādgār rahā
galī meñ us kī gayā so gayā na bolā phir
maiñ 'mīr' 'mīr' kar us ko bahut pukār rahā
mua main sajde mein par naqsh mera bar raha
us aastan pe meri KHak se ghubar raha
junun mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif
KHabar li jab ki na jame mein ek tar raha
bashar hai wo pe khula jab se us ka dam-e-zulf
sar-e-rah us ke farishte hi ka shikar raha
kabhu na aankhon mein aaya wo shoKH KHwab ki tarah
tamam-umr hamein us ka intizar raha
sharab-e-aish mayassar hui jise ek shab
phir us ko roz-e-qayamat talak KHumar raha
butan ke 'ishq ne be-iKHtiyar kar Dala
wo dil ki jis ka KHudai mein iKHtiyar raha
wo dil ki sham-o-sahar jaise pakka phoDa tha
wo dil ki jis se hamesha jigar-figar raha
tamam-umr gai us pe hath rakhte hamein
wo dardnak alarraghm be-qarar raha
sitam mein gham mein sar-anjam us ka kya kahiye
hazaron hasraten thin tis pe ji ko mar raha
baha to KHun ho aankhon ki rah bah nikla
raha jo sina-e-sozan mein daghdar raha
so us ko hum se faramosh-kariyon le gae
ki us se qatra-e-KHun bhi na yaadgar raha
gali mein us ki gaya so gaya na bola phir
main 'mir' 'mir' kar us ko bahut pukar raha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0064
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.