muft aabru-e-zahid-e-allama le gaya
muft ābrū-e-zāhid-e-allāma le gayā
ik muġhbacha utaar ke ammāma le gayā
dāġh-e-farāq-o-hasrat-e-vasl ārzū-e-shauq
maiñ saath zer-e-ḳhāk bhī hangāma le gayā
pahuñchā na pahuñchā aah gayā so gayā ġharīb
vo murġh-e-nāma-bar jo mirā naama le gayā
us rāhzan ke Dhangoñ se deve ḳhudā panāh
ik martaba jo 'mīr' jī kā jaama le gayā
muft aabru-e-zahid-e-allama le gaya
ek mughbacha utar ke ammama le gaya
dagh-e-faraq-o-hasrat-e-wasl aarzu-e-shauq
main sath zer-e-KHak bhi hangama le gaya
pahuncha na pahuncha aah gaya so gaya gharib
wo murgh-e-nama-bar jo mera nama le gaya
us rahzan ke Dhangon se dewe KHuda panah
ek martaba jo 'mir' ji ka jama le gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0032
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.