mutrib se ghazal mir ki kal maine paDhai
mutrib se ġhazal 'mīr' kī kal maiñ ne paḌhā.ī
allah re asar sab ke ta.iiñ raftagī aa.ī
us matl.a-e-jāñ-soz ne aa us ke laboñ par
kyā kahiye ki kyā sūfiyoñ kī chhātī jalā.ī
ḳhātir ke ilāqe ke sabab jaan khapā.ī
is dil ke dhaḌakne se ajab koft uThā.ī
go us ruḳh-e-mahtābī se vaañ chāñdnī chhiTkī
yaañ rang-e-shikasta se bhī chhuTtī hai havā.ī
har bahr meñ ash.ār kahe umr ko khoyā
us gauhar-e-nāyāb kī kuchh baat na paa.ī
bhīḌeñ Talīñ us abrū-e-ḳhamdār ke hilte
lākhoñ meñ us aubāsh ne talvār chalā.ī
dil aur jigar jal ke mire donoñ hue ḳhaak
kyā pūchhte ho ishq ne kyā aag lagā.ī
qāsid ke tasanño ne kiyā dil ke ta.iiñ daaġh
betāb mujhe dekh ke kuchh baat banā.ī
chipkī hai mirī aañkh lab-e-la.al-e-butāñ se
is baat ke tiiñ jāntī hai saarī ḳhudā.ī
maiñ dair pahuñch kar na kiyā qasd-e-haram phir
apnī sī jaras ne kī bahut harza-darā.ī
fariyād inhīñ rangoñ hai gulzār meñ har sub.h
bulbul ne mirī tarz-e-suḳhan saaf uḌaa.ī
majlis meñ mire hote rahā karte ho chupke
ye baat mirī zid se tumheñ kin ne batā.ī
gardish meñ jo haiñ 'mīr' mah-o-mehr-o-sitāre
din-rāt hameñ rahtī hai ye chasm-numā.ī
mutrib se ghazal 'mir' ki kal main ne paDhai
allah re asar sab ke tain raftagi aai
us matla-e-jaan-soz ne aa us ke labon par
kya kahiye ki kya sufiyon ki chhati jalai
KHatir ke ilaqe ke sabab jaan khapai
is dil ke dhaDakne se ajab koft uThai
go us ruKH-e-mahtabi se wan chandni chhiTki
yan rang-e-shikasta se bhi chhuTti hai hawai
har bahr mein ashaar kahe umr ko khoya
us gauhar-e-nayab ki kuchh baat na pai
bhiDen Talin us abru-e-KHamdar ke hilte
lakhon mein us aubash ne talwar chalai
dil aur jigar jal ke mere donon hue KHak
kya puchhte ho ishq ne kya aag lagai
qasid ke tasanno ne kiya dil ke tain dagh
betab mujhe dekh ke kuchh baat banai
chipki hai meri aankh lab-e-lal-e-butan se
is baat ke tin jaanti hai sari KHudai
main dair pahunch kar na kiya qasd-e-haram phir
apni si jaras ne ki bahut harza-darai
fariyaad inhin rangon hai gulzar mein har subh
bulbul ne meri tarz-e-suKHan saf uDai
majlis mein mere hote raha karte ho chupke
ye baat meri zid se tumhein kin ne batai
gardish mein jo hain 'mir' mah-o-mehr-o-sitare
din-raat hamein rahti hai ye chasm-numai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0961
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.