nukta mushtaq-o-yar hai apna
nukta mushtāq-o-yār hai apnā
shā.erī to shi.ār hai apnā
be-ḳhudī le ga.ī kahāñ ham ko
der se intizār hai apnā
rote phirte haiñ saarī saarī raat
ab yahī rozgār hai apnā
de ke dil ham jo ho ga.e majbūr
is meñ kyā iḳhtiyār hai apnā
kuchh nahīñ ham misāl-e-anqā lek
shahr-shahr ishtihār hai apnā
jis ko tum āsmān kahte ho
so diloñ kā ġhubār hai apnā
sarfa āzār-e-'mīr' meñ na karo
ḳhasta apnā hai zaar hai apnā
nukta mushtaq-o-yar hai apna
shaeri to shiar hai apna
be-KHudi le gai kahan hum ko
der se intizar hai apna
rote phirte hain sari sari raat
ab yahi rozgar hai apna
de ke dil hum jo ho gae majbur
is mein kya iKHtiyar hai apna
kuchh nahin hum misal-e-anqa lek
shahr-shahr ishtihaar hai apna
jis ko tum aasman kahte ho
so dilon ka ghubar hai apna
sarfa aazar-e-'mir' mein na karo
KHasta apna hai zar hai apna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0724
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.