qissa kahen to kya kahen milne ki raat ka
qissa kaheñ to kyā kaheñ milne kī raat kā
pahroñ chuvāo un ne rakhā baat baat kā
jur.at se garche zard huuñ par māntā hai kaun
muñh laal jab talak na karūñ pāñch saat kā
kyūñkar basar kare ġham-o-ġhussa meñ hijr ke
ḳhūgar jo ho kisū ke koī iltifāt kā
jāgah se le gayā hameñ us kā ḳhirām-e-nāz
Thahrāv ho sakā na qarār-o-sabāt kā
Dartā huuñ mālikān-e-jazā chhātī dekh kar
kahne lageñ na vaah re zaḳhm us ke haath kā
vā’iz kahe so sach hai vale mai-farosh se
ham zikr bhī sunā nahīñ saum-o-salāt kā
bhauñkā kareñ raqīb paḌe kū-e-yār meñ
kis ke ta.iiñ dimāġh-e-afaf hai sagāt kā
un hoñToñ kā harīf ho zulmāt meñ gayā
parde meñ rū-siyāh hai āb-e-hayāt kā
'ālam kisū hakīm kā bāñdhā tilism hai
kuchh ho to e'tibār bhī ho kā.enāt kā
gar yaar 'mīr' ahl hai to kaam sahl hai
andesha tujh ko yūñhī hai apnī najāt kā
qissa kahen to kya kahen milne ki raat ka
pahron chuwao un ne rakha baat baat ka
jurat se garche zard hun par manta hai kaun
munh lal jab talak na karun panch sat ka
kyunkar basar kare gham-o-ghussa mein hijr ke
KHugar jo ho kisu ke koi iltifat ka
jagah se le gaya hamein us ka KHiram-e-naz
Thahraw ho saka na qarar-o-sabaat ka
Darta hun malikan-e-jaza chhati dekh kar
kahne lagen na wah re zaKHm us ke hath ka
wa’iz kahe so sach hai wale mai-farosh se
hum zikr bhi suna nahin saum-o-salat ka
bhaunka karen raqib paDe ku-e-yar mein
kis ke tain dimagh-e-afaf hai sagat ka
un honTon ka harif ho zulmat mein gaya
parde mein ru-siyah hai aab-e-hayat ka
'alam kisu hakim ka bandha tilism hai
kuchh ho to e'tibar bhi ho kaenat ka
gar yar 'mir' ahl hai to kaam sahl hai
andesha tujh ko yunhi hai apni najat ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1314
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.