rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka
rahe ḳhayāl tanik ham bhī rū-siyāhoñ kā
lage ho ḳhuun bahut karne be-gunāhoñ kā
nahīñ sitāre ye sūrāḳh paḌ ga.e haiñ tamām
falak harīf huā thā hamārī aahoñ kā
galī meñ us kī phaTe kapḌoñ par mire mat jā
libās-e-faqr hai vaañ faḳhr bādshāhoñ kā
tamām zulf ke kūche haiñ mār-e-pech us kī
tujhī ko aave dilā chalnā aisī rāhoñ kā
usī jo ḳhūbī se laa.e tujhe qayāmat meñ
to harf-e-kun ne kiyā gosh dād-ḳhvāhoñ kā
tamām-umr raheñ ḳhaak zer-e-pā us kī
jo zor kuchh chale ham ijz dast-gāhoñ kā
kahāñ se tah kareñ paidā ye nāzimān-e-hāl
ki poch-bāfī hī hai kaam in julāhoñ kā
hisāb kaahe kā roz-e-shumār meñ mujh se
shumār hī nahīñ hai kuchh mire gunāhoñ kā
tirī jo āñkheñ haiñ talvār ke tale bhī idhar
fareb-ḳhurda hai tū 'mīr' kin nigāhoñ kā
rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka
lage ho KHun bahut karne be-gunahon ka
nahin sitare ye suraKH paD gae hain tamam
falak harif hua tha hamari aahon ka
gali mein us ki phaTe kapDon par mere mat ja
libas-e-faqr hai wan faKHr baadshahon ka
tamam zulf ke kuche hain mar-e-pech us ki
tujhi ko aawe dila chalna aisi rahon ka
usi jo KHubi se lae tujhe qayamat mein
to harf-e-kun ne kiya gosh dad-KHwahon ka
tamam-umr rahen KHak zer-e-pa us ki
jo zor kuchh chale hum ijz dast-gahon ka
kahan se tah karen paida ye naziman-e-haal
ki poch-bafi hi hai kaam in julahon ka
hisab kahe ka roz-e-shumar mein mujh se
shumar hi nahin hai kuchh mere gunahon ka
teri jo aankhen hain talwar ke tale bhi idhar
fareb-KHurda hai tu 'mir' kin nigahon ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0047
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.