sar-e-rah chand intizari rahe
sar-e-rāh chand intizārī rahe
bhalā kab talak be-qarārī rahe
rahā hī kiye aañsū palkoñ pe shab
kahāñ tak sitāra-shumārī rahe
kahā bosa de kar safar jab chalā
ki merī bhī ye yādgārī rahe
kahīñ ḳhushk ho chashma-e-chashm bhī
lahū muñh pe tā-chand jaarī rahe
bas ab rah chukī jān-e-ġhamnāk bhī
jo aisī hī tan kī nizārī rahe
tasallī na ho dil agar yaar se
hameñ sālhā ham-kinārī rahe
tire haiñ duā-go sunā ḳhuub hī
faqīroñ kī gar gosh-dārī rahe
shab-e-vasl thī yā shab-e-teġh thī
ki laḌte hī ve raat saarī rahe
kareñ ḳhvāb hamsā.e kyūñkar ki yaañ
balā shor-o-fariyād-o-zārī rahe
phirā karte haiñ ḳhvār galiyoñ meñ ham
kahāñ tak ye be-e'tibārī rahe
kaj-abrū in atfāl meñ hai ajab
jo 'mīr' aabrū bhī tumhārī rahe
sar-e-rah chand intizari rahe
bhala kab talak be-qarari rahe
raha hi kiye aansu palkon pe shab
kahan tak sitara-shumari rahe
kaha bosa de kar safar jab chala
ki meri bhi ye yaadgari rahe
kahin KHushk ho chashma-e-chashm bhi
lahu munh pe ta-chand jari rahe
bas ab rah chuki jaan-e-ghamnak bhi
jo aisi hi tan ki nizari rahe
tasalli na ho dil agar yar se
hamein salha ham-kinari rahe
tere hain dua-go suna KHub hi
faqiron ki gar gosh-dari rahe
shab-e-wasl thi ya shab-e-tegh thi
ki laDte hi we raat sari rahe
karen KHwab hamsae kyunkar ki yan
bala shor-o-fariyaad-o-zari rahe
phira karte hain KHwar galiyon mein hum
kahan tak ye be-e'tibari rahe
kaj-abru in atfal mein hai ajab
jo 'mir' aabru bhi tumhaari rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1892
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.