shab-e-hijr mein kam tazallum kiya
shab-e-hijr meñ kam tazallum kiyā
ki hamsā.egāñ par tarahhum kiyā
kahā maiñ ne kitnā hai gul kā sabāt
kalī ne ye sun kar tabassum kiyā
zamāne ne mujh jur.a-kash ko nadān
kiyā ḳhāk-o-ḳhisht-e-sar-e-ḳhum kiyā
jigar hī meñ yak qatra ḳhuuñ hai sarishk
palak tak gayā to talātum kiyā
kisū vaqt paate nahīñ ghar use
bahut 'mīr' ne aap ko gum kiyā
shab-e-hijr mein kam tazallum kiya
ki hamsaegan par tarahhum kiya
kaha main ne kitna hai gul ka sabaat
kali ne ye sun kar tabassum kiya
zamane ne mujh jura-kash ko nadan
kiya KHak-o-KHisht-e-sar-e-KHum kiya
jigar hi mein yak qatra KHun hai sarishk
palak tak gaya to talatum kiya
kisu waqt pate nahin ghar use
bahut 'mir' ne aap ko gum kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.