sher diwan ke mere kar kar yaad
sher dīvāñ ke mere kar kar yaad
majnūñ kahne lagā ki haañ ustād
ḳhud ko ishq-e-butāñ meñ bhuul na jā
mutavakkil ho kar ḳhudā ko yaad
sab taraf karte haiñ nikoyāñ kī
kis se jā kar koī kare fariyād
vahshī ab gard-bād se ham haiñ
umr afsos kyā ga.ī barbād
chār-dīvārī-e-anāsir 'mīr'
ḳhuub jāgah hai par hai be-buniyād
sher diwan ke mere kar kar yaad
majnun kahne laga ki han ustad
KHud ko ishq-e-butan mein bhul na ja
mutawakkil ho kar KHuda ko yaad
sab taraf karte hain nikoyan ki
kis se ja kar koi kare fariyaad
wahshi ab gard-baad se hum hain
umr afsos kya gai barbaad
chaar-diwari-e-anasir 'mir'
KHub jagah hai par hai be-buniyaad
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1383
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.