subh hui gulzar ke tair dil ko apne TaTolen hain
sub.h huī gulzār ke taa.ir dil ko apne TaToleñ haiñ
yaad meñ us ḳhud-rau gul-e-tar kī kaise kaise boleñ haiñ
baaġh meñ jo ham dīvāne se jā nikleñ haiñ nālā-kunāñ
ġhunche ho ho murġh chaman ke saath hamāre ho leñ haiñ
yaar hamārā āsāñ kyā kuchh siina kushāda ham se milā
ḳhuun kareñ haiñ jab dil ko ve band qabā ke kholeñ haiñ
miiñh jo barse hai shiddat se dekh añdherī kiyā hai ye
ya.anī tang jo ham aate haiñ dil ko khol ke ro leñ haiñ
vo dhobī kā kam miltā hai mail-e-dil ūdhar hai bahut
koī kahe us se milte meñ tujh ko kyā ham dho leñ haiñ
sarv to hai sanjīda lekin pesh-e-misra-e-qadd-e-yār
nā-mauzūñ hī nikle hai jab dil meñ apne toleñ haiñ
marg kā vaqfa is raste meñ kyā hai 'mīr' samajhte ho
hāre-māñde raah ke haiñ ham log koī dam so leñ haiñ
subh hui gulzar ke tair dil ko apne TaTolen hain
yaad mein us KHud-rau gul-e-tar ki kaise kaise bolen hain
bagh mein jo hum diwane se ja niklen hain nala-kunan
ghunche ho ho murgh chaman ke sath hamare ho len hain
yar hamara aasan kya kuchh sina kushada hum se mila
KHun karen hain jab dil ko we band qaba ke kholen hain
minh jo barse hai shiddat se dekh andheri kiya hai ye
yani tang jo hum aate hain dil ko khol ke ro len hain
wo dhobi ka kam milta hai mail-e-dil udhar hai bahut
koi kahe us se milte mein tujh ko kya hum dho len hain
sarw to hai sanjida lekin pesh-e-misra-e-qadd-e-yar
na-mauzun hi nikle hai jab dil mein apne tolen hain
marg ka waqfa is raste mein kya hai 'mir' samajhte ho
haare-mande rah ke hain hum log koi dam so len hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1450
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.