ta-chand intizar-e-qayamat shitab ho
tā-chand intizār-e-qayāmat shitāb ho
vo chāñd sā jo nikle to raf'-e-hijāb ho
ahvāl kī ḳharābī mirī pahuñchī is sire
is par bhī vo kahe hai abhī Tuk ḳharāb ho
yaañ āñkheñ muñdte der nahīñ lagtī merī jaañ
maiñ kaan khole rakhtā huuñ tere shitāb ho
phūloñ ke 'aks se nahīñ jū-e-chaman meñ rang
gul bah chale haiñ sharm se us muñh kī aab ho
yaañ jurm ginte uñgliyoñ ke ḳhat bhī miT ga.e
vaañ kis tarah se dekheñ hamārā hisāb ho
ġhaflat hai apnī 'umr se tum ko hazār-haif
ye kārvān jaane pe tum mast-e-ḳhvāb ho
shān-e-taġhāful us kī likhī ham se kab ga.ī
jab nāma-bar halāk ho tab kuchh javāb ho
lutf-e-sharāb abr se hai so nasīb dekh
jab leveñ jaam haath meñ tab āftāb ho
hastī par ek dam kī tumheñ josh is qadar
is bahr-e-mauj-ḳhez meñ tum to habāb ho
jī chāhtā hai 'aish kareñ ek raat ham
tū hove chāñdnī ho gulābī sharāb ho
pur-pech-o-tāb dūd-e-dil apnā hai jaise zulf
jab is tarah se jal ke darūna kabāb ho
aage zabān-e-yār ke ḳhat khīñche sab ne 'mīr'
pahlī jo baat us kī kaheñ to kitāb ho
ta-chand intizar-e-qayamat shitab ho
wo chand sa jo nikle to raf'-e-hijab ho
ahwal ki KHarabi meri pahunchi is sire
is par bhi wo kahe hai abhi Tuk KHarab ho
yan aankhen mundte der nahin lagti meri jaan
main kan khole rakhta hun tere shitab ho
phulon ke 'aks se nahin ju-e-chaman mein rang
gul bah chale hain sharm se us munh ki aab ho
yan jurm ginte ungliyon ke KHat bhi miT gae
wan kis tarah se dekhen hamara hisab ho
ghaflat hai apni 'umr se tum ko hazar-haif
ye karwan jaane pe tum mast-e-KHwab ho
shan-e-taghaful us ki likhi hum se kab gai
jab nama-bar halak ho tab kuchh jawab ho
lutf-e-sharab abr se hai so nasib dekh
jab lewen jam hath mein tab aaftab ho
hasti par ek dam ki tumhein josh is qadar
is bahr-e-mauj-KHez mein tum to habab ho
ji chahta hai 'aish karen ek raat hum
tu howe chandni ho gulabi sharab ho
pur-pech-o-tab dud-e-dil apna hai jaise zulf
jab is tarah se jal ke daruna kabab ho
aage zaban-e-yar ke KHat khinche sab ne 'mir'
pahli jo baat us ki kahen to kitab ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0924
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.