ta gor ke upar wo gul-andam na aaya
tā gor ke uupar vo gul-andām na aaya
ham ḳhaak ke āsūdoñ ko ārām na aaya
behosh-e-mai-e-ishq huuñ kyā merā bharosā
aaya jo ba-ḳhud sub.h to maiñ shaam na aaya
kis dil se tirā tīr-e-nigah paar na guzrā
kis jaan ko ye marg kā paiġhām na aaya
dekhā na use duur se bhī muntaziroñ ne
vo rashk-e-mah-e-īd lab-e-bām na aaya
sau baar bayābāñ meñ gayā mahmil-e-lailā
majnūñ kī taraf naaqa koī gaam na aaya
ab ke jo tire kūche se jā.ūñgā to suniyo
phir jiite jī is raah vo badnām na aaya
nai ḳhuun ho āñkhoñ se bahā Tuk na huā daaġh
apnā to ye dil 'mīr' kisū kaam na aaya
ta gor ke upar wo gul-andam na aaya
hum KHak ke aasudon ko aaram na aaya
behosh-e-mai-e-ishq hun kya mera bharosa
aaya jo ba-KHud subh to main sham na aaya
kis dil se tera tir-e-nigah par na guzra
kis jaan ko ye marg ka paigham na aaya
dekha na use dur se bhi muntaziron ne
wo rashk-e-mah-e-id lab-e-baam na aaya
sau bar bayaban mein gaya mahmil-e-laila
majnun ki taraf naqa koi gam na aaya
ab ke jo tere kuche se jaunga to suniyo
phir jite ji is rah wo badnam na aaya
nai KHun ho aankhon se baha Tuk na hua dagh
apna to ye dil 'mir' kisu kaam na aaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.