Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taDpe hai gham-zada dil lawega tab kyunkar

Meer Taqi Meer

taDpe hai gham-zada dil lawega tab kyunkar

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    taḌpe hai ġham-zada dil lāvegā taab kyūñkar

    ḳhūñ-basta haiñgī āñkheñ āvegī ḳhvāb kyūñkar

    pur-nā-tavāñ huuñ mujh par bhārī hai apnā

    mujh se uTheñge us ke nāz-o-itāb kyūñkar

    is bahr meñ hai miTnā shakl-e-habāb har dam

    ubhrā rahe hamesha naqsh-e-pur-āb kyūñkar

    paanī ke dhoke pyāse kyā kyā aziiz maare

    sar par na ḳhaak Daale apne sarāb kyūñkar

    āb-e-ravāñ na thā kuchh vo lutf-e-zindagānī

    jaatī rahī javānī apnī shitāb kyūñkar

    siine meñ mere kab se ik señk rahe hai

    qalb-o-kabid na hoveñ donoñ kabāb kyūñkar

    shallāq-ḳhvārī thī ḳhajlat jo kuchh na bolā

    muñh kyā hai nāma-bar nikle javāb kyūñkar

    soz-e-dil-o-jigar se jaltā hai tan-badan sab

    maiñ kyā koī ho khīñche aise azaab kyūñkar

    chehra kitābī us majmūa 'mīr' hai

    ik harf us dahan hotā kitāb kyūñkar

    taDpe hai gham-zada dil lawega tab kyunkar

    KHun-basta haingi aankhen aawegi KHwab kyunkar

    pur-na-tawan hun mujh par bhaari hai ji hi apna

    mujh se uThenge us ke naz-o-itab kyunkar

    is bahr mein hai miTna shakl-e-habab har dam

    ubhra rahe hamesha naqsh-e-pur-ab kyunkar

    pani ke dhoke pyase kya kya aziz mare

    sar par na KHak Dale apne sarab kyunkar

    aab-e-rawan na tha kuchh wo lutf-e-zindagani

    jati rahi jawani apni shitab kyunkar

    sine mein mere kab se ek senk hi rahe hai

    qalb-o-kabid na howen donon kabab kyunkar

    shallaq-KHwari ki thi KHajlat jo kuchh na bola

    munh kya hai nama-bar ka nikle jawab kyunkar

    soz-e-dil-o-jigar se jalta hai tan-badan sab

    main kya koi ho khinche aise azab kyunkar

    chehra kitabi us ka majmua 'mir' ka hai

    ek harf us dahan ka hota kitab kyunkar

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1614
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now