Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri gali se jab hum azm-e-safar karenge

Meer Taqi Meer

teri gali se jab hum azm-e-safar karenge

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    terī galī se jab ham azm-e-safar kareñge

    har har qadam ke uupar patthar jigar kareñge

    āzurda-ḳhātiroñ se kyā fā.eda suḳhan

    tum harf sar karoge ham girya sar kareñge

    uzr-e-gunāh-e-ḳhūbāñ bad-tar gunah se hogā

    karte hue talāfī be-lutf-tar kareñge

    sar jā.egā va-lekin āñkheñ udhar hoñgī

    kyā terī teġh se ham qat-e-nazar kareñge

    apnī ḳhabar bhī ham ko ab der pohñchtī hai

    kyā jaane yaar us ko kab tak ḳhabar kareñge

    gar dil tāb-o-tāqat ye hai to ham-nashīñ ham

    shām-e-ġham-e-judā.ī kyūñkar sahar kareñge

    ye zulm-e-be-nihāyat dekho to ḳhūb-rūyāñ

    kahte haiñ jo sitam hai ham tujh par kareñge

    apne bhī hai āḳhir insāf kar ki kab tak

    ye sitam karegā ham darguzar kareñge

    sannā.a-e-turfa haiñ ham aalam meñ reḳhte ke

    jo 'mīr' lagegā to sab hunar kareñge

    teri gali se jab hum azm-e-safar karenge

    har har qadam ke upar patthar jigar karenge

    aazurda-KHatiron se kya faeda suKHan ka

    tum harf sar karoge hum girya sar karenge

    uzr-e-gunah-e-KHuban bad-tar gunah se hoga

    karte hue talafi be-lutf-tar karenge

    sar jaega wa-lekin aankhen udhar hi hongi

    kya teri tegh se hum qat-e-nazar karenge

    apni KHabar bhi hum ko ab der pohnchti hai

    kya jaane yar us ko kab tak KHabar karenge

    gar dil ki tab-o-taqat ye hai to ham-nashin hum

    sham-e-gham-e-judai kyunkar sahar karenge

    ye zulm-e-be-nihayat dekho to KHub-ruyan

    kahte hain jo sitam hai hum tujh hi par karenge

    apne bhi ji hai aaKHir insaf kar ki kab tak

    tu ye sitam karega hum darguzar karenge

    sannaa-e-turfa hain hum aalam mein reKHte ke

    jo 'mir' ji lagega to sab hunar karenge

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0492
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now