tha shauq mujhe talib-e-didar hua main
thā shauq mujhe tālib-e-dīdār huā maiñ
so aa.ina sā sūrat-e-dīvār huā meñ
jab duur gayā qāfila tab chashm huī baaz
kyā pūchhte ho der ḳhabar-dār huā maiñ
ab past-o-buland ek hai juuñ naqsh-e-qadam yaañ
pāmāl huā ḳhuub to hamvār huā maiñ
kab naaz se shamshīr-e-sitam un ne na khīñchī
kab zauq se marne ko na tayyār huā maiñ
bāzār-e-vafā meñ sar-e-saudā thā sabhoñ ko
par bech ke jī ek ḳharīdār huā maiñ
hushiyār the sab daam meñ aa.e na ham-āvāz
thī raftagī sī mujh ko giraftār huā maiñ
kyā chetne kā fā.eda jo sheb meñ chetā
sone kā samāñ aaya to bedār huā maiñ
tum apnī kaho ishq meñ kyā pūchho ho merī
izzat ga.ī rusvā.ī huī ḳhvār huā maiñ
us nargis-e-mastāna ko dekhe hue barsoñ
ifrāt se andoh kī bīmār huā maiñ
rahtā huuñ sadā marne ke nazdīk hī ab 'mīr'
us jaan ke dushman se bhalā yaar huā maiñ
tha shauq mujhe talib-e-didar hua main
so aaina sa surat-e-diwar hua mein
jab dur gaya qafila tab chashm hui baz
kya puchhte ho der KHabar-dar hua main
ab past-o-buland ek hai jun naqsh-e-qadam yan
pamal hua KHub to hamwar hua main
kab naz se shamshir-e-sitam un ne na khinchi
kab zauq se marne ko na tayyar hua main
bazar-e-wafa mein sar-e-sauda tha sabhon ko
par bech ke ji ek KHaridar hua main
hushiyar the sab dam mein aae na ham-awaz
thi raftagi si mujh ko giraftar hua main
kya chetne ka faeda jo sheb mein cheta
sone ka saman aaya to bedar hua main
tum apni kaho ishq mein kya puchho ho meri
izzat gai ruswai hui KHwar hua main
us nargis-e-mastana ko dekhe hue barson
ifraat se andoh ki bimar hua main
rahta hun sada marne ke nazdik hi ab 'mir'
us jaan ke dushman se bhala yar hua main
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1194
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.