Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe bhi yar apna yun to hum har bar kahte hain

Meer Taqi Meer

tujhe bhi yar apna yun to hum har bar kahte hain

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    tujhe bhī yaar apnā yuuñ to ham har baar kahte haiñ

    vale kam haiñ bahut ve log jin ko yaar kahte haiñ

    jahāñ ke mastabe meñ mast-e-tāfeh nazar aa.e

    na thā is daur meñ aayā jise hushiyār kahte haiñ

    samajh kar zikr kar āsūdgī mujh se ai nāseh

    vo maiñ huuñ ki jis ko ‘āfiyat-bezār kahte haiñ

    musāfir hove us ḳhirāmāñ dekh kar tujh ko

    jise mere vatan meñ kabk-e-ḳhush-raftār kahte haiñ

    qaaf

    ma'āz-allāh daḳhl-e-kufr ho islām meñ kyoñ

    ġhalat aur poch nā-mā’qūl bā’ze yaar kahte haiñ

    'alam ko kab hai vajh-e-tasmiya lāzim samajh dekho

    sulaimānī meñ kyā zunnār hai zunnār kahte haiñ

    tirī āñkhoñ ko aa.uuñ dekhne maiñ to 'ajab mat kar

    ki behtar hai 'ayādat aur unheñ bīmār kahte haiñ

    'ajab hote haiñ shā'ir bhī maiñ us firqe 'āshiq huuñ

    ki be-dhaḌke bharī majlis meñ ye asrār kahte haiñ

    maze in ke uḌā lekin na ye samjheñ to behtar hai

    ki ḳhūbāñ bhī bahut apne ta.iiñ 'ayyār kahte haiñ

    sag-e-kū 'mīr' maiñ us sher-e-haq huuñ ki jis ko sab

    nabī ḳhvesh-o-bhā.ī haidar-e-karrār kahte haiñ

    tujhe bhi yar apna yun to hum har bar kahte hain

    wale kam hain bahut we log jin ko yar kahte hain

    jahan ke mastabe mein mast-e-tafeh hi nazar aae

    na tha is daur mein aaya jise hushiyar kahte hain

    samajh kar zikr kar aasudgi ka mujh se ai naseh

    wo main hi hun ki jis ko ‘afiyat-bezar kahte hain

    musafir howe ji us ka KHiraman dekh kar tujh ko

    jise mere watan mein kabk-e-KHush-raftar kahte hain

    qaf

    ma'az-allah daKHl-e-kufr ho islam mein kyon hi

    ghalat aur poch na-ma’qul ba’ze yar kahte hain

    'alam ko kab hai wajh-e-tasmiya lazim samajh dekho

    sulaimani mein kya zunnar hai zunnar kahte hain

    teri aankhon ko aaun dekhne main to 'ajab mat kar

    ki behtar hai 'ayaadat aur unhen bimar kahte hain

    'ajab hote hain sha'ir bhi main us firqe ka 'ashiq hun

    ki be-dhaDke bhari majlis mein ye asrar kahte hain

    maze in ke uDa lekin na ye samjhen to behtar hai

    ki KHuban bhi bahut apne tain 'ayyar kahte hain

    sag-e-ku 'mir' main us sher-e-haq ka hun ki jis ko sab

    nabi ka KHwesh-o-bhai haidar-e-karrar kahte hain

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0344
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now