wo ek rawish se khole hue baal ho gaya
vo ik ravish se khole hue baal ho gayā
sumbul chaman kā muft meñ pāmāl ho gayā
uljhāv paḌ gayā jo hameñ us ke 'ishq meñ
dil sā 'azīz jaan kā janjāl ho gayā
kyā imtidād-e-muddat-e-hijrāñ bayāñ karūñ
sā'at huī qayāmat o mah saal ho gayā
dā'vā kiyā thā gul ne tire ruḳh se baaġh meñ
sailī lagī sabā kī so muñh laal ho gayā
qāmat ḳhamīda rang shikasta badan nazār
terā to 'mīr' ġham meñ 'ajab haal ho gayā
wo ek rawish se khole hue baal ho gaya
sumbul chaman ka muft mein pamal ho gaya
uljhaw paD gaya jo hamein us ke 'ishq mein
dil sa 'aziz jaan ka janjal ho gaya
kya imtidad-e-muddat-e-hijran bayan karun
sa'at hui qayamat o mah sal ho gaya
da'wa kiya tha gul ne tere ruKH se bagh mein
saili lagi saba ki so munh lal ho gaya
qamat KHamida rang shikasta badan nazar
tera to 'mir' gham mein 'ajab haal ho gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.