Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye raftagi bhi hoti hai ji hi chala gaya

Meer Taqi Meer

ye raftagi bhi hoti hai ji hi chala gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ye raftagī bhī hotī hai chalā gayā

    kal hāl-e-'mīr' dekh ke ġhash mujh ko aa gayā

    kyā kahiye ek umr meñ ve lab hile the kuchh

    so baat paan khāte hue vo chabā gayā

    sābit hai us ke pahlū se pahuñche hai ham ko ranj

    dekhā na dard dil ke kahe sar jhukā gayā

    nālāñ hai andalīb gul āshufta rafta sarv

    Tuk baiTh kar chaman meñ vo fitna uThā gayā

    paḌhtā thā maiñ to sub.ha liye haath meñ darūd

    salvāteñ mujh ko aa ke vo nāhaq sunā gayā

    rakhnā nishān qabr merī na ḳhush kiyā

    aaya so aur ḳhaak meñ mujh ko milā gayā

    munsif ho shaiḳh ki us mast-e-nāz bin

    ham aap se bhalā ga.e tujh se rahā gayā

    hargiz bujhī na sar se lagī aah ishq meñ

    mānind-e-sham.a daaġh sab ham ko khā gayā

    kyoñ maiñ kahā ki hañs ke namak zaḳhm par chhiḌak

    be-lutf us ke hone meñ saarā maza gayā

    aañsū to Dar se ga.e lekin vo qatra aab

    ik aag tan badan meñ hamāre lagā gayā

    vaqt-e-aḳhīr kyā ye adā thī ki ġhash se maiñ

    jab aañkh kholī bāloñ meñ muñh ko chhupā gayā

    kyā pūchhte ho daaġh kiyā marg-e-'mīr' ne

    mar kar vo sīna-soḳhta chhātī jalā gayā

    ye raftagi bhi hoti hai ji hi chala gaya

    kal haal-e-'mir' dekh ke ghash mujh ko aa gaya

    kya kahiye ek umr mein we lab hile the kuchh

    so baat pan khate hue wo chaba gaya

    sabit hai us ke pahlu se pahunche hai hum ko ranj

    dekha na dard dil ke kahe sar jhuka gaya

    nalan hai andalib gul aashufta rafta sarw

    Tuk baiTh kar chaman mein wo fitna uTha gaya

    paDhta tha main to subha liye hath mein darud

    salwaten mujh ko aa ke wo nahaq suna gaya

    rakhna nishan qabr ka meri na KHush kiya

    aaya so aur KHak mein mujh ko mila gaya

    munsif ho tu hi shaiKH ki us mast-e-naz bin

    hum aap se bhala gae tujh se raha gaya

    hargiz bujhi na sar se lagi aah ishq mein

    manind-e-shama dagh hi sab hum ko kha gaya

    kyon main kaha ki hans ke namak zaKHm par chhiDak

    be-lutf us ke hone mein sara maza gaya

    aansu to Dar se pi gae lekin wo qatra aab

    ek aag tan badan mein hamare laga gaya

    waqt-e-aKHir kya ye ada thi ki ghash se main

    jab aankh kholi baalon mein munh ko chhupa gaya

    kya puchhte ho dagh kiya marg-e-'mir' ne

    mar kar wo sina-soKHta chhati jala gaya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0722
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now