Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj kuchh karna hai izhaar rasul-e-‘arabi

Behzad Lakhnavi

aaj kuchh karna hai izhaar rasul-e-‘arabi

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    aaj kuchh karnā hai iz.hār rasūl-e-'arabī

    suniye yā-ahmad-e-muḳhtār rasūl-e-'arabī

    aap ummat-e-'āsī hai baḌī zahmat meñ

    in meñ har shaḳhs hai ab ḳhvār rasūl-e-'arabī

    in meñ baaqī hai na 'izzat na tamaddun na vaqār

    ye to sab ho chuke bekār rasūl-e-'arabī

    daulat-e-dīn hai in meñ na to duniyā baaqī

    in meñ har zaat hai nādār rasūl-e-'arabī

    zinda ye haiñ to magar ziist kuchh lutf nahīñ

    ziist se ab haiñ ye bezār rasūl-e-'arabī

    aap ke hukm ko in sab ne bhulāyā hai huzūr

    is sab karte haiñ iqrār rasūl-e-'arabī

    ye bure haiñ ki bhale aap ummat haiñ zarūr

    nigah-e-lutf hai darkār rasūl-e-'arabī

    aap se ham na kaheñ ke to phir kis se kaheñ

    aap 'ālam ke haiñ muḳhtār rasūl-e-'arabī

    aaj kuchh karna hai izhaar rasul-e-'arabi

    suniye ya-ahmad-e-muKHtar rasul-e-'arabi

    aap ki ummat-e-'asi hai baDi zahmat mein

    in mein har shaKHs hai ab KHwar rasul-e-'arabi

    in mein baqi hai na 'izzat na tamaddun na waqar

    ye to sab ho chuke bekar rasul-e-'arabi

    daulat-e-din hai in mein na to duniya baqi

    in mein har zat hai nadar rasul-e-'arabi

    zinda ye hain to magar zist ka kuchh lutf nahin

    zist se ab hain ye bezar rasul-e-'arabi

    aap ke hukm ko in sab ne bhulaya hai huzur

    is ka sab karte hain iqrar rasul-e-'arabi

    ye bure hain ki bhale aap ki ummat hain zarur

    nigah-e-lutf hai darkar rasul-e-'arabi

    aap se hum na kahen ja ke to phir kis se kahen

    aap 'alam ke hain muKHtar rasul-e-'arabi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now