ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
nahīñ duniyā meñ koī terā nazīr-o-ham-sar
tū mirī jaan mirī shaan mirī izzat hai
merā īmān mirā maan mirī nisbat hai
merā sammān mirā gyaan mirī daulat hai
ahl-e-islām kā iklautā hai tū hī dilbar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
qatra-qatra hai jahāñ aur samundar hai tū
ahl-e-īmāñ ke liye sāqī-e-kausar hai tū
ham gunahgār haiñ aur shāfa-e-mahshar hai tū
saare insānoñ kā jinnoñ kā tū hī hai rahbar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
tire taiba kī ziyārat hī sa.ādat hai mirī
terī har aan ġhulāmī meñ siyādat hai mirī
zikr karnā tirā har dam yahī aadat hai mirī
saare aalam meñ nahīñ koī bhī tujh se behtar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ai mubashshir ai moallim ai rasūl-e-rahmat
jān-e-ehsān ḳhush-andāz sarāpā-rāhat
tū mohabbat tū sharāfat tū mukammal barakat
hashr meñ terī shafā.at se sañvar jaa.e safar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ek ik baat tirī vah.y-e-ḳhudā hotī hai
saarī maḳhlūq ko ḳhāliq kī nidā hotī hai
baat haq hī tire hoñToñ se adā hotī hai
tujh pe qurbān haiñ 'kāshif' ke dil-o-jān-o-jigar
ai mire paak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
nahin duniya mein koi tera nazir-o-ham-sar
tu meri jaan meri shan meri izzat hai
mera iman mera man meri nisbat hai
mera samman mera gyan meri daulat hai
ahl-e-islam ka iklauta hai tu hi dilbar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
qatra-qatra hai jahan aur samundar hai tu
ahl-e-iman ke liye saqi-e-kausar hai tu
hum gunahgar hain aur shafa-e-mahshar hai tu
sare insanon ka jinnon ka tu hi hai rahbar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
tere taiba ki ziyarat hi saadat hai meri
teri har aan ghulami mein siyaadat hai meri
zikr karna tera har dam yahi aadat hai meri
sare aalam mein nahin koi bhi tujh se behtar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ai mubashshir ai moallim ai rasul-e-rahmat
jaan-e-ehsan KHush-andaz sarapa-rahat
tu mohabbat tu sharafat tu mukammal barakat
hashr mein teri shafaat se sanwar jae safar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
ek ek baat teri wahy-e-KHuda hoti hai
sari maKHluq ko KHaliq ki nida hoti hai
baat haq hi tere honTon se ada hoti hai
tujh pe qurban hain 'kashif' ke dil-o-jaan-o-jigar
ai mere pak payambar ai shah-e-jinn-o-bashar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.