azim rahbar
aziim rahbar
buzurg-o-bartar
tū har qalam meñ
har ik zabāñ par
hazār bāteñ
magar tū mehvar
ye dahr qatra
tū hai samundar
nazar meñ tū hī
tū dil ke andar
koī ho maidāñ
tū hai sikandar
tū faqr meñ bhī
ġharīb-parvar
tū jān-e-mus.haf
tū hī payambar
sanā meñ hai mahv
har ik suḳhanvar
judā ho tujh se
tū rū-e-mimbar
tumhārā kalima
paḌhe hai kankar
tirī nazar se
jahāñ munavvar
tirī itā.at
mirā muqaddar
duā hai pahuñchūñ
tumhāre dar par
darūd ho aur
salām tum par
azim rahbar
buzurg-o-bartar
tu har qalam mein
har ek zaban par
hazar baaten
magar tu mehwar
ye dahr qatra
tu hai samundar
nazar mein tu hi
tu dil ke andar
koi ho maidan
tu hai sikandar
tu faqr mein bhi
gharib-parwar
tu jaan-e-mushaf
tu hi payambar
sana mein hai mahw
har ek suKHanwar
juda ho tujh se
tu ru-e-mimbar
tumhaara kalima
paDhe hai kankar
teri nazar se
jahan munawwar
teri itaat
mera muqaddar
dua hai pahunchun
tumhaare dar par
darud ho aur
salam tum par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.