baKHt mera jo mohabbat mein rasa ho jae
baKHt mera jo mohabbat mein rasa ho jae
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
baḳht merā jo mohabbat meñ rasā ho jaa.e
merī taqdīr madīne kī fazā ho jaa.e
kaash maqbūl mire dil kī duā ho jaa.e
ek sajda dar-e-maulā pe adā ho jaa.e
us kī tāzīm ko uThte haiñ salātīn-e-jahāñ
tire kūche se jo mansūb gadā ho jaa.e
le bhī aa zulf-e-payambar kī mahak der na kar
ai sabā mujh pe ye ehsān zarā ho jaa.e
us ko apnī hī ḳhabar ho na do-ālam kā ḳhayāl
jo bhī dīvāna mahbūb-e-ḳhudā ho jaa.e
maiñ madīne kī ziyārat se bahut ḳhush huuñ magar
chāhtā huuñ ki ye maskan hī mirā ho jaa.e
un ke dāman ko mire haath kisī din chhū leñ
kuchh na kuchh haqq-e-aqīdat to adā ho jaa.e
ab bulā lo ki mujhe dam kā bharosa na rahā
nahīñ ma.alūm kisī vaqt bhī kyā ho jaa.e
mere nazdīk muqaddar kā dhanī hai vo 'nasīr'
jis ko un kī nazar-e-lutf-o-atā ho jaa.e
baKHt mera jo mohabbat mein rasa ho jae
meri taqdir madine ki faza ho jae
kash maqbul mere dil ki dua ho jae
ek sajda dar-e-maula pe ada ho jae
us ki tazim ko uThte hain salatin-e-jahan
tere kuche se jo mansub gada ho jae
le bhi aa zulf-e-payambar ki mahak der na kar
ai saba mujh pe ye ehsan zara ho jae
us ko apni hi KHabar ho na do-alam ka KHayal
jo bhi diwana mahbub-e-KHuda ho jae
main madine ki ziyarat se bahut KHush hun magar
chahta hun ki ye maskan hi mera ho jae
un ke daman ko mere hath kisi din chhu len
kuchh na kuchh haqq-e-aqidat to ada ho jae
ab bula lo ki mujhe dam ka bharosa na raha
nahin malum kisi waqt bhi kya ho jae
mere nazdik muqaddar ka dhani hai wo 'nasir'
jis ko un ki nazar-e-lutf-o-ata ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.