dar-e-mahbub par sajda agar ek bar ho jae
dar-e-mahbūb par sajda agar ik baar ho jaa.e
dil-e-pur-ārzū sar-chashma-e-anvār ho jaa.e
tajallī aam ho aur vā dar-e-asrār ho jaa.e
jabīn-e-dil jo naqsh-e-āstān-e-yār ho jaa.e
kamāl-e-zabt kī ḳhātir gavārā hī nahīñ mujh ko
ki harf-e-ārzū sharminda-e-iz.hār ho jaa.e
mirī kashtī hai maiñ huuñ aur girdāb-e-mohabbat hai
jo vo ho nā-ḳhudā merā to beḌā paar ho jaa.e
zahe shān-e-barāhīmī ki namrūdoñ kī duniyā meñ
vo jis ātish ko bhī kah de vahī gulzār ho jaa.e
jo vo chāhe to mujh ko ik nazar se zindagī baḳhshe
jo vo chāhe to baḳht-e-ḳhufta bhī bedār ho jaa.e
karam us kā hai ye yā mo.ajiza mere tasavvur kā
jahāñ kar luuñ maiñ band āñkheñ vahīñ dīdār ho jaa.e
tire piine ko roz aaya karegī arsh-e-a.azam se
mai-e-ishq-e-mohammad se jo tū sarshār ho jaa.e
dar-e-mahbub par sajda agar ek bar ho jae
dil-e-pur-arzu sar-chashma-e-anwar ho jae
tajalli aam ho aur wa dar-e-asrar ho jae
jabin-e-dil jo naqsh-e-astan-e-yar ho jae
kamal-e-zabt ki KHatir gawara hi nahin mujh ko
ki harf-e-arzu sharminda-e-izhaar ho jae
meri kashti hai main hun aur girdab-e-mohabbat hai
jo wo ho na-KHuda mera to beDa par ho jae
zahe shan-e-barahimi ki namrudon ki duniya mein
wo jis aatish ko bhi kah de wahi gulzar ho jae
jo wo chahe to mujh ko ek nazar se zindagi baKHshe
jo wo chahe to baKHt-e-KHufta bhi bedar ho jae
karam us ka hai ye ya moajiza mere tasawwur ka
jahan kar lun main band aankhen wahin didar ho jae
tere pine ko roz aaya karegi arsh-e-azam se
mai-e-ishq-e-mohammad se jo tu sarshaar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.