darud paDhiye darud paDhiye wo bahr-e-islah-e-am aaya
darūd paḌhiye darūd paḌhiye vo bahr-e-islāh-e-'ām aaya
paḌhī farishtoñ ne naa't jis kī ḳhudā kā jis ko salām aaya
vo rahmat-e-haq vo nūr-e-ḳhāliq ba-shakl-e-insāñ ba-nām-e-ahmad
gunāhgāroñ ke kaam aaya siyāh-baḳhtoñ ke kaam aaya
maiñ us kī āñkheñ hī dekh letā maiñ haath hī us ke chuum letā
jo un ke rauze ko dekh aaya jo un kī jaalī ko thaam aaya
ye chupke chupke mirī mohabbat mirī 'aqīdat par hañsne vaalo
tum apne hoñT aap chuum loge zabāñ pe jis dam vo naam aaya
ye aarzū hai ki mere aaqā 'ra.īs' ik din madīne pahuñche
huzūr farmā.eñ kaun aaya kahe vo hindī ġhulām aaya
darud paDhiye darud paDhiye wo bahr-e-islah-e-'am aaya
paDhi farishton ne na't jis ki KHuda ka jis ko salam aaya
wo rahmat-e-haq wo nur-e-KHaliq ba-shakl-e-insan ba-nam-e-ahmad
gunahgaron ke kaam aaya siyah-baKHton ke kaam aaya
main us ki aankhen hi dekh leta main hath hi us ke chum leta
jo un ke rauze ko dekh aaya jo un ki jali ko tham aaya
ye chupke chupke meri mohabbat meri 'aqidat par hansne walo
tum apne honT aap chum loge zaban pe jis dam wo nam aaya
ye aarzu hai ki mere aaqa 'rais' ek din madine pahunche
huzur farmaen kaun aaya kahe wo hindi ghulam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.