dekha hai jis ne ru-e-daraKHshan huzur ka

dekha hai jis ne ru-e-daraKHshan huzur ka
Zauqi Muzaffar Nagari
MORE BYZauqi Muzaffar Nagari
dekhā hai jis ne rū-e-daraḳhshāñ huzūr kā
dīvāna ho gayā hai vo insāñ huzūr kā
bistar niyāz-e-'ishq hai malbūs lā-ilāh
kis darja hai 'azīm ye sāmāñ huzūr kā
us ke dayār-e-dil kī nigahbāñ haiñ rahmateñ
ābād jis ke dil meñ hai armāñ huzūr kā
mil jā.egā huzūr se parvāna-e-najāt
dast-e-talab se thaam le dāmāñ huzūr kā
kyūñkar na kufr-sāz siyāsat ho sharmsār
īmā-e-kārsāz hai īmāñ huzūr kā
islām kā nafāz hai kaif-e-bahār-e-zīst
islām sar-basar hai gulistāñ huzūr kā
ek ek baat kāshif-e-rāz-e-najāt hai
ek ek harf ḳhuld-badāmāñ huzūr kā
insāniyat-navāz hai qānūn-e-lā-ilāh
dastūr-e-sad-nashāt hai qur.āñ huzūr kā
insāñ ko dī hai azmat-e-insāñ kī tarbiyat
kyā kam hai kā.enāt pe ehsāñ huzūr kā
jo nāmvar hai dahr meñ 'zauqī' ke naam se
lahore meñ hai ek sanā-ḳhvāñ huzūr kā
dekha hai jis ne ru-e-daraKHshan huzur ka
diwana ho gaya hai wo insan huzur ka
bistar niyaz-e-'ishq hai malbus la-ilah
kis darja hai 'azim ye saman huzur ka
us ke dayar-e-dil ki nigahban hain rahmaten
aabaad jis ke dil mein hai arman huzur ka
mil jaega huzur se parwana-e-najat
dast-e-talab se tham le daman huzur ka
kyunkar na kufr-saz siyasat ho sharmsar
ima-e-karsaz hai iman huzur ka
islam ka nafaz hai kaif-e-bahaar-e-zist
islam sar-basar hai gulistan huzur ka
ek ek baat kashif-e-raaz-e-najat hai
ek ek harf KHuld-badaman huzur ka
insaniyat-nawaz hai qanun-e-la-ilah
dastur-e-sad-nashat hai quran huzur ka
insan ko di hai azmat-e-insan ki tarbiyat
kya kam hai kaenat pe ehsan huzur ka
jo namwar hai dahr mein 'zauqi' ke nam se
lahore mein hai ek sana-KHwan huzur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.