dil-o-nigah ki duniya nai nai hui hai
dil-o-nigāh kī duniyā na.ī na.ī huī hai
darūd paḌhte hī ye kaisī raushnī huī hai
maiñ bas yūñhī to nahīñ aa gayā huuñ mahfil meñ
kahīñ se izn milā hai to hāzirī huī hai
jahān-e-kun se udhar kyā thā kaun jāntā hai
magar vo nuur ki jis se ye zindagī huī hai
hazār shukr ġhulāmān-e-shāh-e-bat.hā meñ
shurūa din se mirī hāzirī lagī huī hai
baham the dāman-e-rahmat se jab to chain se the
judā hue haiñ to ab jaan par banī huī hai
ye sar uThā.e jo maiñ jā rahā huuñ jānib-e-ḳhuld
mire liye mire aaqā ne baat kī huī hai
mujhe yaqīñ hai vo ā.eñge vaqt-e-āḳhir bhī
maiñ kah sakūñgā ziyārat abhī abhī huī hai
dil-o-nigah ki duniya nai nai hui hai
darud paDhte hi ye kaisi raushni hui hai
main bas yunhi to nahin aa gaya hun mahfil mein
kahin se izn mila hai to haziri hui hai
jahan-e-kun se udhar kya tha kaun jaanta hai
magar wo nur ki jis se ye zindagi hui hai
hazar shukr ghulaman-e-shah-e-batha mein
shurua din se meri haziri lagi hui hai
baham the daman-e-rahmat se jab to chain se the
juda hue hain to ab jaan par bani hui hai
ye sar uThae jo main ja raha hun jaanib-e-KHuld
mere liye mere aaqa ne baat ki hui hai
mujhe yaqin hai wo aaenge waqt-e-aKHir bhi
main kah sakunga ziyarat abhi abhi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.