faqon mein bandha peT pe patthar na milega
fāqoñ meñ bañdhā peT pe patthar na milegā
sarkār-e-do-‘ālam sā payambar na milegā
tauhīd ke jalvoñ se munavvar na milegā
kā'be kī tarah aur koī ghar na milegā
un ke ġham-e-furqat kā hai maftūh mirā dil
mujh jaisā muqaddar kā sikandar na milegā
ai munharif-e-dīn ba-juz zāt-e-mohammad
mahshar meñ tujhe shāfe'-e-mahshar na milegā
ai daur-e-ḳhurāfāt ke bahke hue logo
chhoḌā dar-e-sarkār to phir dar na milegā
insān ke paikar meñ haiñ vo nūr-e-mujassam
aisā kisī insān kā paikar na milegā
har samt madīne meñ hai anvār kī bārish
nazroñ ko kahīñ aur ye manzar na milegā
har ek nafas sarf karo nā’t-e-nabī meñ
phir vaqt dubāra tumheñ 'aḳhtar' na milegā
faqon mein bandha peT pe patthar na milega
sarkar-e-do-‘alam sa payambar na milega
tauhid ke jalwon se munawwar na milega
ka'be ki tarah aur koi ghar na milega
un ke gham-e-furqat ka hai maftuh mera dil
mujh jaisa muqaddar ka sikandar na milega
ai munharif-e-din ba-juz zat-e-mohammad
mahshar mein tujhe shafe'-e-mahshar na milega
ai daur-e-KHurafat ke bahke hue logo
chhoDa dar-e-sarkar to phir dar na milega
insan ke paikar mein hain wo nur-e-mujassam
aisa kisi insan ka paikar na milega
har samt madine mein hai anwar ki barish
nazron ko kahin aur ye manzar na milega
har ek nafas sarf karo na’t-e-nabi mein
phir waqt dubara tumhein 'aKHtar' na milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.