ghaTne lagti hai to sarkar baDha dete hain
ghaTne lagtī hai to sarkār baḌhā dete haiñ
lau charāġhoñ kī lagātār baḌhā dete haiñ
kis qadar husn-e-ināyat hai mire aaqā kā
ki zarūrat se bhī do-chār baḌhā dete haiñ
dhuup meñ baiThe faqīroñ kī ḳhabar hai un ko
duur tak sāya-e-dīvār baḌhā dete haiñ
aap ke rahm kī taqsīm baḌhī jaatī hai
log jab garmī-e-bāzār baḌhā dete haiñ
ye mohabbat bhī nabī-pāk se sīkhī huī hai
zulm baḌhtā hai to ham pyaar baḌhā dete haiñ
ghaTne lagti hai to sarkar baDha dete hain
lau charaghon ki lagatar baDha dete hain
kis qadar husn-e-inayat hai mere aaqa ka
ki zarurat se bhi do-chaar baDha dete hain
dhup mein baiThe faqiron ki KHabar hai un ko
dur tak saya-e-diwar baDha dete hain
aap ke rahm ki taqsim baDhi jati hai
log jab garmi-e-bazar baDha dete hain
ye mohabbat bhi nabi-pak se sikhi hui hai
zulm baDhta hai to hum pyar baDha dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.