hain waqf jaan-o-dil mere is kaam ke liye
hain waqf jaan-o-dil mere is kaam ke liye
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
haiñ vaqf jān-o-dil mire is kaam ke liye
paḌhiye darūd rahbar-e-islām ke liye
zinda rahe jo ḳhidmat-e-islām ke liye
vo muntaḳhab haiñ hashr meñ in.aam ke liye
shohrā hai aam sāqī-e-kausar ke faiz kā
duniyā taḌap rahī hai bas ik jaam ke liye
vo shaam jo madīne ke raste meñ aa ga.ī
sub.h-e-abad tarastī hai us shaam ke liye
kaam aa.egā vazīfa mohammad ke naam kā
kyā ḳhuub kaam hai dil-e-nākām ke liye
jo be-qarār-e-ishq-e-rasūl-e-anām haiñ
firdaus un ke naam hai ārām ke liye
zikr-e-ḳhudā-o-zikr-e-nabī hai rah-e-ḳhulūs
gumnām vo hue jo chale naam ke liye
elaan hai 'nasīr' ye rabb-e-karīm kā
ishq-e-rasūl shart hai islām ke liye
hain waqf jaan-o-dil mere is kaam ke liye
paDhiye darud rahbar-e-islam ke liye
zinda rahe jo KHidmat-e-islam ke liye
wo muntaKHab hain hashr mein inam ke liye
shohra hai aam saqi-e-kausar ke faiz ka
duniya taDap rahi hai bas ek jam ke liye
wo sham jo madine ke raste mein aa gai
subh-e-abad tarasti hai us sham ke liye
kaam aaega wazifa mohammad ke nam ka
kya KHub kaam hai dil-e-nakaam ke liye
jo be-qarar-e-ishq-e-rasul-e-anam hain
firdaus un ke nam hai aaram ke liye
zikr-e-KHuda-o-zikr-e-nabi hai rah-e-KHulus
gumnam wo hue jo chale nam ke liye
elan hai 'nasir' ye rabb-e-karim ka
ishq-e-rasul shart hai islam ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.