hamare dil ko ho kuchh aise justuju-e-rasul
hamāre dil ko ho kuchh aise justujū-e-rasūl
rahe zabān pe har vaqt guftugū-e-rasūl
ḳhudā ne kah diyā īmāñ usī kā kāmil hai
aziiz rakhtā hai jo jaañ se ābrū-e-rasūl
ye shaan dekho banā un kā har amal sunnat
vahī hadīs banī jo thī guftugū-e-rasūl
ye haal ishq-o-aqīdat kā thā sahāba kī
sañbhāl lete the har qatra-e-vuzū-e-rasūl
nabī kī hikmat-o-aḳhlāq kī chalī jab teġh
fidā-e-jān hue phir bahut adū-e-rasūl
vo ḳhvāb ḳhvāb hai 'gauhar' kā ḳhvāb meñ yā-rab
bas apne aap ko pā.ūñ maiñ rū-ba-rū-e-rasūl
hamare dil ko ho kuchh aise justuju-e-rasul
rahe zaban pe har waqt guftugu-e-rasul
KHuda ne kah diya iman usi ka kaamil hai
aziz rakhta hai jo jaan se aabru-e-rasul
ye shan dekho bana un ka har amal sunnat
wahi hadis bani jo thi guftugu-e-rasul
ye haal ishq-o-aqidat ka tha sahaba ki
sanbhaal lete the har qatra-e-wuzu-e-rasul
nabi ki hikmat-o-aKHlaq ki chali jab tegh
fida-e-jaan hue phir bahut adu-e-rasul
wo KHwab KHwab hai 'gauhar' ka KHwab mein ya-rab
bas apne aap ko paun main ru-ba-ru-e-rasul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.