har taraf sailab hai anwar hi anwar ka
har taraf sailāb hai anvār hī anvār kā
zikr hai shahr-e-nabī ke kūcha-o-bāzār kā
kashtī-e-'umr-e-ravāñ ko ġham ho kyoñ mañjdhār kā
dast-e-ahmad meñ hai jab dasta mirī patvār kā
husn-e-mahr-o-māh to husn-e-nabī kī den hai
aur roz-o-shab meñ sadqa gesū-o-ruḳhsār kā
mastī-e-jām-e-sharāb-e-'ishq kā hāsil na pūchh
ḳhaas tohfa hai nigāh-e-ahmad-e-muḳhtār kā
kaash ḳhvāboñ hī meñ baḳht-e-ḳhufta merā jaag uThe
ai zahe ‘izz-o-sharaf jalva mire sarkār kā
banda-e-majbūr kyā qur.ān bhī hai mo'tarif
sarvar-e-kaun-o-makāñ kī sīrat-o-kirdār kā
merī jholī meñ haiñ 'aḳhtar' do-jahāñ kī ne'mateñ
maiñ gadā huuñ rahmat-e-kaunain ke darbār kā
har taraf sailab hai anwar hi anwar ka
zikr hai shahr-e-nabi ke kucha-o-bazar ka
kashti-e-'umr-e-rawan ko gham ho kyon manjdhaar ka
dast-e-ahmad mein hai jab dasta meri patwar ka
husn-e-mahr-o-mah to husn-e-nabi ki den hai
aur roz-o-shab mein sadqa gesu-o-ruKHsar ka
masti-e-jam-e-sharab-e-'ishq ka hasil na puchh
KHas tohfa hai nigah-e-ahmad-e-muKHtar ka
kash KHwabon hi mein baKHt-e-KHufta mera jag uThe
ai zahe ‘izz-o-sharaf jalwa mere sarkar ka
banda-e-majbur kya quran bhi hai mo'tarif
sarwar-e-kaun-o-makan ki sirat-o-kirdar ka
meri jholi mein hain 'aKHtar' do-jahan ki ne'maten
main gada hun rahmat-e-kaunain ke darbar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.