ho tum mein koi shah-e-madina to dikha do
ho tum meñ koī shāh-e-madīna to dikhā do
yā'nī mire sarkār ke jaisā to dikhā do
us chehra-e-anvar kā bayāñ baa'd meñ karnā
pahle mire muḳhtār sā talvā to dikhā do
vo zulf jise haq ne dī val-lail se tā'bīr
ho rang koī aisā bhī gahrā to dikhā do
us shaah ke jaisā koī duniyā meñ shahanshāh
jo TuuTī chaTā.ī pe ho baiThā to dikhā do
sidra se pare ‘arsh-e-ilāhī pe ai logo
sarkār se pahle koī pahuñchā to dikhā do
ham ne to koī dūsrā ahmad nahīñ dekhā
ho tum ne agarche koī dekhā to dikhā do
aa.e to bahut duniyā meñ islām ke daa'ī
par aisā koī ek hī aayā to dikhā do
bin māñge ye bhar dete haiñ mohtājoñ ke dāman
dekhā ho mire aaqā sā aaqā to dikhā do
mahshar meñ jo ik ek kī farmā.e shafā'at
ho koī mohammad ke 'alāva to dikhā do
duniyā meñ kahīñ apne ġhulāmoñ ke liye 'nūr'
patthar jo shikam pe koī bāñdhā to dikhā do
ho tum mein koi shah-e-madina to dikha do
ya'ni mere sarkar ke jaisa to dikha do
us chehra-e-anwar ka bayan ba'd mein karna
pahle mere muKHtar sa talwa to dikha do
wo zulf jise haq ne di wal-lail se ta'bir
ho rang koi aisa bhi gahra to dikha do
us shah ke jaisa koi duniya mein shahanshah
jo TuTi chaTai pe ho baiTha to dikha do
sidra se pare ‘arsh-e-ilahi pe ai logo
sarkar se pahle koi pahuncha to dikha do
hum ne to koi dusra ahmad nahin dekha
ho tum ne agarche koi dekha to dikha do
aae to bahut duniya mein islam ke da'i
par aisa koi ek hi aaya to dikha do
bin mange ye bhar dete hain mohtajon ke daman
dekha ho mere aaqa sa aaqa to dikha do
mahshar mein jo ek ek ki farmae shafa'at
ho koi mohammad ke 'alawa to dikha do
duniya mein kahin apne ghulamon ke liye 'nur'
patthar jo shikam pe koi bandha to dikha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.