idhar udhar to kai raste bane hue hain
idhar udhar to ka.ī rāste bane hue haiñ
jo aap ke haiñ vo bas aap ke bane hue haiñ
ḳhudā kī den hai hāthoñ pe kis ke kyā likh de
kahīñ lakīreñ kahīñ qāfile bane hue haiñ
dikhā.ī detā hai shaffāf in meñ ishq-e-rasūl
hamāre chehroñ pe jo aa.ine bane hue haiñ
yahāñ pe hukm hai āvāzeñ past rakhne kā
nabī se ishq ke sab qā.ede bane hue haiñ
agar pukār leñ vo to ye do qadam bhī nahīñ
hazāroñ miil ke jo fāsle bane hue haiñ
farozāñ rahtā hai un meñ charāġh-e-hubb-e-nabī
hamāre sīnoñ meñ jo tāqche bane hue haiñ
idhar udhar to kai raste bane hue hain
jo aap ke hain wo bas aap ke bane hue hain
KHuda ki den hai hathon pe kis ke kya likh de
kahin lakiren kahin qafile bane hue hain
dikhai deta hai shaffaf in mein ishq-e-rasul
hamare chehron pe jo aaine bane hue hain
yahan pe hukm hai aawazen past rakhne ka
nabi se ishq ke sab qaede bane hue hain
agar pukar len wo to ye do qadam bhi nahin
hazaron mil ke jo fasle bane hue hain
farozan rahta hai un mein charagh-e-hubb-e-nabi
hamare sinon mein jo taqche bane hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.