jaana madine phir mera sach-much wasul ho
jaanā madīne phir mirā sach-much vasūl ho
muñh par malī huī mire makke kī dhuul ho
taḳhlīq mujh se aisī bhī nā't-e-rasūl ho
mere huzūr ko bhī jo dil se qubūl ho
ho jā.ūñ ġharq maiñ bhī mohammad ke 'ishq meñ
mere lahū meñ aisā junūñ bhī hulūl ho
jā kar jise huzūr ke rauze pe rakh sakūñ
'nāsir' hamāre baaġh meñ aisā bhī phuul ho
jaana madine phir mera sach-much wasul ho
munh par mali hui mere makke ki dhul ho
taKHliq mujh se aisi bhi na't-e-rasul ho
mere huzur ko bhi jo dil se qubul ho
ho jaun gharq main bhi mohammad ke 'ishq mein
mere lahu mein aisa junun bhi hulul ho
ja kar jise huzur ke rauze pe rakh sakun
'nasir' hamare bagh mein aisa bhi phul ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.