Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jata hai zamana taraf-e-ku-e-mohammad

Behzad Lakhnavi

jata hai zamana taraf-e-ku-e-mohammad

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    jaatā hai zamāna taraf-e-kū-e-mohammad

    haiñ donoñ jahāñ vālih-e-gesū-e-mohammad

    us lamha-e-pur-kaif pe sadqe ye zamāna

    jab laa.e sabā nik.hat-e-gesū-e-mohammad

    pur-nūr nahīñ mehr-o-mah o zarra-o-anjum

    hai dahr meñ tābindagī-e-rū-e-mohammad

    duniyā nigāhoñ se hameñ vāsta kyā hai

    apnī to nigāheñ haiñ faqat sū-e-mohammad

    ai mere ḳhudā ai mire ḳhāliq mire allāh

    ham ko bhī dikhā de ruḳh-e-nekū-e-mohammad

    haañ sūñgh ke dekho to har ik ġhuncha-o-gul ko

    har ġhuncha-o-gul detā hai ḳhushbū-e-mohammad

    ik lafz bhī kahtā nahīñ maiñ apnī zabāñ se

    'bahzād' nazar hai taraf-e-kū-e-mohammad

    jata hai zamana taraf-e-ku-e-mohammad

    hain donon jahan walih-e-gesu-e-mohammad

    us lamha-e-pur-kaif pe sadqe ye zamana

    jab lae saba nikhat-e-gesu-e-mohammad

    pur-nur nahin mehr-o-mah o zarra-o-anjum

    hai dahr mein tabindagi-e-ru-e-mohammad

    duniya ki nigahon se hamein wasta kya hai

    apni to nigahen hain faqat su-e-mohammad

    ai mere KHuda ai mere KHaliq mere allah

    hum ko bhi dikha de ruKH-e-neku-e-mohammad

    han sungh ke dekho to har ek ghuncha-o-gul ko

    har ghuncha-o-gul deta hai KHushbu-e-mohammad

    ek lafz bhi kahta nahin main apni zaban se

    'bahzad' nazar hai taraf-e-ku-e-mohammad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now