jab bhi raaz-e-kun-fakan kahna paDa
jab bhī rāz-e-kun-fakāñ kahnā paḌā
rahmatoñ ko be-karāñ kahnā paḌā
ġhurbatoñ meñ gumbad-e-ḳhazrā kī chhāoñ
be-makānoñ kā makāñ kahnā paḌā
naġhma-e-tauhīd aur ‘ishq-e-rasūl
qissa-e-harf-e-azāñ kahnā paḌā
paañv us ne jis zamīñ par rakh diye
us zamīñ ko āsmāñ kahnā paḌā
pattharoñ meñ narm lahje kī bahār
dasht ko bhī gulsitāñ kahnā paḌā
vo musāfir phir vo andāz-e-safar
rah-guzar ko kahkashāñ kahnā paḌā
rahmatoñ kī fasl ke sachche gulāb
bāġhbāñ ko bāġhbāñ kahnā paḌā
ḳhūb-sūrat jism-o-jāñ kā ittihād
do nafas kā imtihāñ kahnā paḌā
vo ishāre phir mirā dast-e-hunar
sahl hai kār-e-jahāñ kahnā paḌā
rahmatoñ ke shaġhl ko muñh chāhiye
har suḳhan ko be-zabāñ kahnā paḌā
nā'tiya she'r-o-adab meñ ai 'ra.īs'
ek būḌhe ko javāñ kahnā paḌā
jab bhi raaz-e-kun-fakan kahna paDa
rahmaton ko be-karan kahna paDa
ghurbaton mein gumbad-e-KHazra ki chhaon
be-makanon ka makan kahna paDa
naghma-e-tauhid aur ‘ishq-e-rasul
qissa-e-harf-e-azan kahna paDa
panw us ne jis zamin par rakh diye
us zamin ko aasman kahna paDa
pattharon mein narm lahje ki bahaar
dasht ko bhi gulsitan kahna paDa
wo musafir phir wo andaz-e-safar
rah-guzar ko kahkashan kahna paDa
rahmaton ki fasl ke sachche gulab
baghban ko baghban kahna paDa
KHub-surat jism-o-jaan ka ittihad
do nafas ka imtihan kahna paDa
wo ishaare phir mera dast-e-hunar
sahl hai kar-e-jahan kahna paDa
rahmaton ke shaghl ko munh chahiye
har suKHan ko be-zaban kahna paDa
na'tiya she'r-o-adab mein ai 'rais'
ek buDhe ko jawan kahna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.