jis din se pa-e-nisbat rakkha teri gali mein
jis din se pa-e-nisbat rakkha teri gali mein
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
jis din se pā-e-nisbat rakkhā tirī galī meñ
dekhā phir ahl-e-dil ne kyā kyā tirī galī meñ
jab bhī kiyā hai maiñ ne sajda tirī galī meñ
ḳhud khich ke aa gayā hai ka.aba tirī galī meñ
aatā nahīñ hai tab tak dil ko qarār mere
lagtā nahīñ hai jab tak pherā tirī galī meñ
terī galī ko pā kar jaise tujhī ko paayā
mahsūs ho rahā hai aisā tirī galī meñ
taqvā adab qanā.at ḳhauf-e-ḳhudā itā.at
biktā hai āḳhirat kā saudā tirī galī meñ
qaa.il na the jo kal tak afsūn-e-dilbarī ke
phirte haiñ aaj ban kar shaidā tirī galī meñ
auroñ ko hoñ mubārak rangīniyāñ jahāñ kī
ham ne to jo bhī dekhā dekhā tirī galī meñ
tū aur terā jalva maiñ aur merī hairat
gum-sum khaḌā huā huuñ tanhā tirī galī meñ
taskīn-e-dil kī ḳhātir kyā kyā na maiñ bhaTaktā
vo to mirā muqaddar laayā tirī galī meñ
shāh-o-gadā ne paa.ī ḳhairāt dar se tere
ḳhālī rahā hai dāman kis kā tirī galī meñ
terā karam sadā.eñ detā hai āsiyoñ ko
bahtā hai rahmatoñ kā dariyā tirī galī meñ
qismat hai apnī apnī paate haiñ paane vaale
baTtā hai panj-tan kā sadqa tirī galī meñ
ghūme phire jahāñ meñ dar-dar kī ḳhaak chhānī
ab to lagā liyā hai Derā tirī galī meñ
jaane ye har-sū kis ne ā.īne rakh diye haiñ
har ruḳh se uTh rahā hai parda tirī galī meñ
ḳhud us ke muñh kī rangat kahtī hai rāz-e-niyyat
chhuptā nahīñ kisī kā chehra tirī galī meñ
vo kis kā ho sakā hai vo kis kā ho sakegā
jo ho sakā na dil se terā tirī galī meñ
ab sirf tū rahegā apnī galī kī raunaq
aa.egā ab na koī tujh sā tirī galī meñ
baiThā huā huuñ ab tak le kar tirā sahārā
tujh-bin nahīñ hai koī merā tirī galī meñ
pūchh us ke dil se jā kar kyā us ke dil pe guzrī
jo ik jhalak ko terī tarsā tirī galī meñ
dil haiñ ki luT rahe haiñ sar haiñ ki jhuk rahe haiñ
aalam hai be-ḳhudī kā kaisā tirī galī meñ
qaa.em hai aaj tak bhī vo rang-e-dars terā
milnā sikhā rahā hai mela tirī galī meñ
ho jaa.e chashm-e-rahmat ab to 'nasīr' par bhī
kab se paḌā huā hai aaqā tirī galī meñ
jis din se pa-e-nisbat rakkha teri gali mein
dekha phir ahl-e-dil ne kya kya teri gali mein
jab bhi kiya hai main ne sajda teri gali mein
KHud khich ke aa gaya hai kaba teri gali mein
aata nahin hai tab tak dil ko qarar mere
lagta nahin hai jab tak phera teri gali mein
teri gali ko pa kar jaise tujhi ko paya
mahsus ho raha hai aisa teri gali mein
taqwa adab qanaat KHauf-e-KHuda itaat
bikta hai aaKHirat ka sauda teri gali mein
qail na the jo kal tak afsun-e-dilbari ke
phirte hain aaj ban kar shaida teri gali mein
auron ko hon mubarak ranginiyan jahan ki
hum ne to jo bhi dekha dekha teri gali mein
tu aur tera jalwa main aur meri hairat
gum-sum khaDa hua hun tanha teri gali mein
taskin-e-dil ki KHatir kya kya na main bhaTakta
wo to mera muqaddar laya teri gali mein
shah-o-gada ne pai KHairaat dar se tere
KHali raha hai daman kis ka teri gali mein
tera karam sadaen deta hai aasiyon ko
bahta hai rahmaton ka dariya teri gali mein
qismat hai apni apni pate hain pane wale
baTta hai panj-tan ka sadqa teri gali mein
ghume phire jahan mein dar-dar ki KHak chhani
ab to laga liya hai Dera teri gali mein
jaane ye har-su kis ne aaine rakh diye hain
har ruKH se uTh raha hai parda teri gali mein
KHud us ke munh ki rangat kahti hai raaz-e-niyyat
chhupta nahin kisi ka chehra teri gali mein
wo kis ka ho saka hai wo kis ka ho sakega
jo ho saka na dil se tera teri gali mein
ab sirf tu rahega apni gali ki raunaq
aaega ab na koi tujh sa teri gali mein
baiTha hua hun ab tak le kar tera sahaara
tujh-bin nahin hai koi mera teri gali mein
puchh us ke dil se ja kar kya us ke dil pe guzri
jo ek jhalak ko teri tarsa teri gali mein
dil hain ki luT rahe hain sar hain ki jhuk rahe hain
aalam hai be-KHudi ka kaisa teri gali mein
qaem hai aaj tak bhi wo rang-e-dars tera
milna sikha raha hai mela teri gali mein
ho jae chashm-e-rahmat ab to 'nasir' par bhi
kab se paDa hua hai aaqa teri gali mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.