jis waqt meri ruh mere tan se juda ho
jis vaqt mirī ruuh mire tan se judā ho
us vaqt mire lab pe sadā salle-‘alā ho
sar merā dar-e-shāh-e-madīna pe jhukā ho
ai kaash usī vaqt muqaddar meñ qazā ho
īmāñ kā taqāzā hai mohabbat meñ nabī kī
har fard kafan bāñdhe hue sar pe khaḌā ho
nāmūs-e-risālat ke liye jaan luTā de
allāh musalmān ko vo jazba 'atā ho
har shab ye tamanna liye sotā huuñ maiñ aaqā
ai kaash kabhī ḳhvāb meñ dīdār 'atā ho
ho ḳhauf use garmī-e-mahshar kā bhalā kyoñ
sarkār ke jo dāman-e-rahmat meñ chhupā ho
kyoñ bhiik vo māñge kisī darbār se 'faisal'
jo shāh-e-madīna ke gadāoñ kā gadā ho
jis waqt meri ruh mere tan se juda ho
us waqt mere lab pe sada salle-‘ala ho
sar mera dar-e-shah-e-madina pe jhuka ho
ai kash usi waqt muqaddar mein qaza ho
iman ka taqaza hai mohabbat mein nabi ki
har fard kafan bandhe hue sar pe khaDa ho
namus-e-risalat ke liye jaan luTa de
allah musalman ko wo jazba 'ata ho
har shab ye tamanna liye sota hun main aaqa
ai kash kabhi KHwab mein didar 'ata ho
ho KHauf use garmi-e-mahshar ka bhala kyon
sarkar ke jo daman-e-rahmat mein chhupa ho
kyon bhik wo mange kisi darbar se 'faisal'
jo shah-e-madina ke gadaon ka gada ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.