jo dil se labon par munajat hogi
jo dil se laboñ par munājāt hogī
to maqbūl-e-rab vo tirī baat hogī
nasīm-e-sahar le ke phirtī hai ḳhushbū
ḳhushī kī yaqīnan koī baat hogī
ilāhī vahī phir se manzar dikhā de
basar merī taiba meñ jab raat hogī
vo sadqe luTā.eñge ham ‘āsiyoñ par
madīne meñ rahmat kī barsāt hogī
mujhe ḳhauf mahshar kā kyūñkar ho 'qādir'
shafā’at nabī kī mire saath hogī
jo dil se labon par munajat hogi
to maqbul-e-rab wo teri baat hogi
nasim-e-sahar le ke phirti hai KHushbu
KHushi ki yaqinan koi baat hogi
ilahi wahi phir se manzar dikha de
basar meri taiba mein jab raat hogi
wo sadqe luTaenge hum ‘asiyon par
madine mein rahmat ki barsat hogi
mujhe KHauf mahshar ka kyunkar ho 'qadir'
shafa’at nabi ki mere sath hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.