jumla aa’dad se nai harf milane se khula
jumla ā’dād se nai harf milāne se khulā
hajla-e-'ilm tire ġhaar meñ aane se khulā
raat ke nisf ko ham sīna-e-shab jānte haiñ
shab kā siina tire qur.ān sunāne se khulā
ham pe kyā chhāñv tire dhuup meñ chalne se khulī
ham pe kyā rang tire zaḳhm uThāne se khulā
ye zamīñ ḳhaak kā ik Dher hī lagtī thī hameñ
ḳhaak kā rutba tire paañv lagāne se khulā
ham to gintī hī gine jaane ke dhoke meñ rahe
husn-e-tartīb tire baa'd meñ aane se khulā
dhīmā dhīmā to sitāre bhī batāte the magar
sang lau detā hai ye tere sirhāne se khulā
jumla aa’dad se nai harf milane se khula
hajla-e-'ilm tere ghaar mein aane se khula
raat ke nisf ko hum sina-e-shab jaante hain
shab ka sina tere quran sunane se khula
hum pe kya chhanw tere dhup mein chalne se khuli
hum pe kya rang tere zaKHm uThane se khula
ye zamin KHak ka ek Dher hi lagti thi hamein
KHak ka rutba tere panw lagane se khula
hum to ginti hi gine jaane ke dhoke mein rahe
husn-e-tartib tere ba'd mein aane se khula
dhima dhima to sitare bhi batate the magar
sang lau deta hai ye tere sirhane se khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.