Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahun kyon na har-waqt hae madina

Behzad Lakhnavi

kahun kyon na har-waqt hae madina

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    kahūñ kyoñ na har-vaqt haa.e madīna

    mirī zindagī hai fidā-e-madīna

    mirā qalb-e-muztar khilā rahā hai

    idhar aa ga.ī kyā havā-e-madīna

    tufail-e-mohammad va āl-e-mohammad

    ḳhudā ham saboñ ko dikhā.e madīna

    vahāñ har qadam par sabā lauTtī hai

    bahāroñ se pur hai fazā-e-madīna

    yahī ārzū-e-dil-e-mubtalā hai

    sunā de koī mājrā-e-madīna

    haqīqat meñ hai ye mirī zindagānī

    barā-e-mohammad barā-e-madīna

    gadā hai 'bahzād' muztar yaqīnī

    nahīñ chāhtā kuchh sivā-e-madīna

    kahun kyon na har-waqt hae madina

    meri zindagi hai fida-e-madina

    mera qalb-e-muztar khila ja raha hai

    idhar aa gai kya hawa-e-madina

    tufail-e-mohammad wa aal-e-mohammad

    KHuda hum sabon ko dikhae madina

    wahan har qadam par saba lauTti hai

    bahaaron se pur hai faza-e-madina

    yahi aarzu-e-dil-e-mubtala hai

    suna de koi majra-e-madina

    haqiqat mein hai ye meri zindagani

    bara-e-mohammad bara-e-madina

    gada tu hai 'bahzad' muztar yaqini

    nahin chahta kuchh siwa-e-madina

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now