kaunain mein yun jalwa-numa koi nahin hai
kaunain mein yun jalwa-numa koi nahin hai
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
kaunain meñ yuuñ jalva-numā koī nahīñ hai
allāh ke baa'd un se baḌā koī nahīñ hai
yuuñ farsh se tā-arsh gayā koī nahīñ hai
me.arāj meñ is darja rasā koī nahīñ hai
māñgo to zarā un ke tavassut se kabhī kuchh
maqbūl na ho aisī duā koī nahīñ hai
kaam aa.ī sar-e-hashr mohammad kī shafā.at
sab kahte haiñ jā terī ḳhatā koī nahīñ hai
har-chand nabī īsā-o-mūsā bhī haiñ lekin
mahbūb-e-ḳhudā un ke sivā koī nahīñ
allāh ne sau husn diye nau-e-bashar ko
yuuñ nuur ke sāñche meñ Dhalā koī nahīñ hai
dil un kā hai is dil meñ vahī jalva-fagan haiñ
ab un ke alāva ba-ḳhudā koī nahīñ hai
ummat meñ huuñ un kī ki jo haiñ rahmat-e-ālam
kyoñ hashr kā Dar ho mirā kyā koī nahīñ hai
is daur pe ai ḳhatm-e-rusul chashm-e-karam ho
rahzan haiñ bahut rāh-numā koī nahīñ hai
paḌhte raho din-rāt 'nasīr' un kā vazīfa
aisā amal-e-radd-e-balā koī nahīñ hai
kaunain mein yun jalwa-numa koi nahin hai
allah ke ba'd un se baDa koi nahin hai
yun farsh se ta-arsh gaya koi nahin hai
mearaj mein is darja rasa koi nahin hai
mango to zara un ke tawassut se kabhi kuchh
maqbul na ho aisi dua koi nahin hai
kaam aai sar-e-hashr mohammad ki shafaat
sab kahte hain ja teri KHata koi nahin hai
har-chand nabi isa-o-musa bhi hain lekin
mahbub-e-KHuda un ke siwa koi nahin
allah ne sau husn diye nau-e-bashar ko
yun nur ke sanche mein Dhala koi nahin hai
dil un ka hai is dil mein wahi jalwa-fagan hain
ab un ke alawa ba-KHuda koi nahin hai
ummat mein hun un ki ki jo hain rahmat-e-alam
kyon hashr ka Dar ho mera kya koi nahin hai
is daur pe ai KHatm-e-rusul chashm-e-karam ho
rahzan hain bahut rah-numa koi nahin hai
paDhte raho din-raat 'nasir' un ka wazifa
aisa amal-e-radd-e-bala koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.