KHush-nasib is liye duniya mein hai ummat unki
ḳhush-nasīb is liye duniyā meñ hai ummat un kī
baḳhshvā.egī sar-e-hashr shafā'at un kī
saarī duniyā mujhe pur-nūr nazar aatī hai
dil meñ raushan hai mire sham'-e-mohabbat un kī
jāda-e-mā’rifat-e-haq meñ bhaTakne vaalo
haq-ta’ālā kī 'ibādat hai itā'at un kī
ambiyā pīchhe saf-ārā shab-e-me'rāj hue
saare nabiyoñ pe musallam hai imāmat un kī
allah allāh ye kāshāna-e-hazrat kā vaqār
aa.e jibrīl-e-amīñ le ke ijāzat un kī
kyoñ na mashġhūl rahūñ mid.hat-e-āñ-hazrat meñ
mere allāh ko marġhūb hai mid.hat un kī
ummatī rahmat-e-kaunain ke ham haiñ 'aḳhtar'
har qadam par hameñ hāsil hai himāyat un kī
KHush-nasib is liye duniya mein hai ummat un ki
baKHshwaegi sar-e-hashr shafa'at un ki
sari duniya mujhe pur-nur nazar aati hai
dil mein raushan hai mere sham'-e-mohabbat un ki
jada-e-ma’rifat-e-haq mein bhaTakne walo
haq-ta’ala ki 'ibaadat hai ita'at un ki
ambiya pichhe saf-ara shab-e-me'raj hue
sare nabiyon pe musallam hai imamat un ki
allah allah ye kashana-e-hazrat ka waqar
aae jibril-e-amin le ke ijazat un ki
kyon na mashghul rahun midhat-e-an-hazrat mein
mere allah ko marghub hai midhat un ki
ummati rahmat-e-kaunain ke hum hain 'aKHtar'
har qadam par hamein hasil hai himayat un ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.