kis ne zarron ko uThaya aur sahra kar diya
kis ne zarroñ ko uThāyā aur sahrā kar diyā
kis ne qatroñ ko milāyā aur dariyā kar diyā
zinda ho jaate haiñ jo marte haiñ us ke naam par
allah allah maut ko kis ne masīhā kar diyā
shaukat-e-maġhrūr kā kis shaḳhs ne toḌā tilism
munhadim kis ne ilāhī qasr-e-kisrā kar diyā
kis kī hikmat ne yatīmoñ ko kiyā durr-e-yatīm
aur ġhulāmoñ ko zamāne-bhar kā aaqā kar diyā
kah diyā lā-taqnatū 'aḳhtar' kisī ne kaan meñ
aur dil ko sar-basar mahv-e-tamannā kar diyā
saat pardoñ meñ chhupā baiThā thā husn-e-kā.enāt
ab kisī ne us ko 'ālam-āshkāra kar diyā
ādmiyyat kā ġharaz sāmāñ muhayyā kar diyā
ik 'arab ne aadmī kā bol-bālā kar diyā
kis ne zarron ko uThaya aur sahra kar diya
kis ne qatron ko milaya aur dariya kar diya
zinda ho jate hain jo marte hain us ke nam par
allah allah maut ko kis ne masiha kar diya
shaukat-e-maghrur ka kis shaKHs ne toDa tilism
munhadim kis ne ilahi qasr-e-kisra kar diya
kis ki hikmat ne yatimon ko kiya durr-e-yatim
aur ghulamon ko zamane-bhar ka aaqa kar diya
kah diya la-taqnatu 'aKHtar' kisi ne kan mein
aur dil ko sar-basar mahw-e-tamanna kar diya
sat pardon mein chhupa baiTha tha husn-e-kaenat
ab kisi ne us ko 'alam-ashkara kar diya
aadmiyyat ka gharaz saman muhayya kar diya
ek 'arab ne aadmi ka bol-baala kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.