koi bhi shaKHs agar wird-e-mustafa na kare
koī bhī shaḳhs agar vird-e-mustafā na kare
vo phir zabān se apnī koī du'ā na kare
vahāñ kī miTTī ko ḳhāk-e-shifā bhī kahte haiñ
marīz taiba ko jaa.e magar davā na kare
ḳhudā kare maiñ madīne meñ jā ke bas jā.ūñ
madīne jā na sakūñ maiñ kabhī ḳhudā na kare
vo jis ke dil meñ mohabbat na ho mohammad kī
ḳhudā kare ki koī us se bhī vafā na kare
abhī abhī ye maiñ vā'iz se kah ke aaya huuñ
koī kalām mohammad ke vo sivā na kare
vo shaḳhs jo ki mohammad kī yaad meñ royā
phir us kī aañkh se aañsū kabhī bahā na kare
use navāz diyā hai huzūr ne kitnā
bayān apnī du'ā meñ jo mudda'ā na kare
dar-e-habīb pe ik baar jo bhī ho aaya
tamām 'umr kisī kā vo aasrā na kare
asiir jā ke madīne meñ ho gayā 'nāsir'
ḳhudā ke vāste us ko koī rihā na kare
koi bhi shaKHs agar wird-e-mustafa na kare
wo phir zaban se apni koi du'a na kare
wahan ki miTTi ko KHak-e-shifa bhi kahte hain
mariz taiba ko jae magar dawa na kare
KHuda kare main madine mein ja ke bas jaun
madine ja na sakun main kabhi KHuda na kare
wo jis ke dil mein mohabbat na ho mohammad ki
KHuda kare ki koi us se bhi wafa na kare
abhi abhi ye main wa'iz se kah ke aaya hun
koi kalam mohammad ke wo siwa na kare
wo shaKHs jo ki mohammad ki yaad mein roya
phir us ki aankh se aansu kabhi baha na kare
use nawaz diya hai huzur ne kitna
bayan apni du'a mein jo mudda'a na kare
dar-e-habib pe ek bar jo bhi ho aaya
tamam 'umr kisi ka wo aasra na kare
asir ja ke madine mein ho gaya 'nasir'
KHuda ke waste us ko koi riha na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.