kunj-e-ehsas mein jalwon ka KHazina aae
kunj-e-ehsās meñ jalvoñ kā ḳhazīna aa.e
jab tasavvur meñ ruḳh-e-shāh-e-madīna aa.e
sub.h-e-sādiq kī ziyā ho ki shab-e-tāb kā nuur
dekh le 'aks to jalvoñ ko pasīna aa.e
mīm-e-ahmad kī tab-o-tāb ki allāh allāh
zau-fishāñ jaise añgūThī meñ nagīna aa.e
dīn-o-duniyā kī jo daulat bhī mile Thukrā duuñ
mere hisse meñ agar ḳhvāb-e-madīna aa.e
ashk Tapke haiñ lahū ban ke mirī āñkhoñ se
jab kabhī yaad mujhe haj kā mahīna aa.e
ban gayā hubb-e-nabī jaise sahārā dil kā
bahr-e-ālām meñ jab apnā safīna aa.e
pyaas kī aag bujhāne ke liye dekh 'shamīm'
jaam kausar kā liye shāh-e-madīna aa.e
kunj-e-ehsas mein jalwon ka KHazina aae
jab tasawwur mein ruKH-e-shah-e-madina aae
subh-e-sadiq ki ziya ho ki shab-e-tab ka nur
dekh le 'aks to jalwon ko pasina aae
mim-e-ahmad ki tab-o-tab ki allah allah
zau-fishan jaise anguThi mein nagina aae
din-o-duniya ki jo daulat bhi mile Thukra dun
mere hisse mein agar KHwab-e-madina aae
ashk Tapke hain lahu ban ke meri aankhon se
jab kabhi yaad mujhe haj ka mahina aae
ban gaya hubb-e-nabi jaise sahaara dil ka
bahr-e-alam mein jab apna safina aae
pyas ki aag bujhane ke liye dekh 'shamim'
jam kausar ka liye shah-e-madina aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.