lab par mere jo zikr-e-shah-e-nam-dar hai
lab par mire jo zikr-e-shah-e-nām-dār hai
sall-e-‘alā kī bazm meñ har-sū pukār hai
yuuñ jo tajalliyoñ se fazā zar-nigār hai
shāyad nuzūl-e-rahmat-e-parvardigār hai
merī zabāñ pe nām-e-mohamād jab aa gayā
kaise kahūñ ki dil pe mujhe iḳhtiyār hai
paiham jo uTh rahā hai madīne kī yaad meñ
mere liye vo dard bahut ḳhush-gavār hai
faizān-e-girya-e-ġham-e-dūrī na pūchhiye
ashkoñ se dhul rahā hai jo dil kā ġhubār hai
adnā sā rabt zāt-e-mohammad se ho jise
vo dil hai ḳhush-nasīb vo ġham sāzgār hai
ab dil hai muztarib ġham-e-dūrī liye hue
ab raat ko hai chain na din ko qarār hai
jis meñ ho bū-e-'ishq-e-mohammad basī huī
sad-rashk-e-gulsitāñ vo dil-e-dāġh-dār hai
ḳhud ko nisār-e-sarvar-e-kaunain kar bhī de
kyā tujh ko aur jān-e-'hazīñ' intizār hai
lab par mere jo zikr-e-shah-e-nam-dar hai
sall-e-‘ala ki bazm mein har-su pukar hai
yun jo tajalliyon se faza zar-nigar hai
shayad nuzul-e-rahmat-e-parwardigar hai
meri zaban pe nam-e-mohamad jab aa gaya
kaise kahun ki dil pe mujhe iKHtiyar hai
paiham jo uTh raha hai madine ki yaad mein
mere liye wo dard bahut KHush-gawar hai
faizan-e-girya-e-gham-e-duri na puchhiye
ashkon se dhul raha hai jo dil ka ghubar hai
adna sa rabt zat-e-mohammad se ho jise
wo dil hai KHush-nasib wo gham sazgar hai
ab dil hai muztarib gham-e-duri liye hue
ab raat ko hai chain na din ko qarar hai
jis mein ho bu-e-'ishq-e-mohammad basi hui
sad-rashk-e-gulsitan wo dil-e-dagh-dar hai
KHud ko nisar-e-sarwar-e-kaunain kar bhi de
kya tujh ko aur jaan-e-'hazin' intizar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.