Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab pe phir aai hai fariyaad rasul-e-arabi

Behzad Lakhnavi

lab pe phir aai hai fariyaad rasul-e-arabi

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    lab pe phir aa.ī hai fariyād rasūl-e-arabī

    kījiye haañ mirī imdād rasūl-e-arabī

    aap zaat har ik tarah se hai faḳhr-e-zamāñ

    haq hai har aap irshād rasūl-e-arabī

    thak ga.e hind ke ye roz-o-shab-o-shām-o-sahar

    sunte sunte mirī fariyād rasūl-e-arabī

    hijr-e-taiba meñ nahīñ ek ghaḌī mujh ko qarār

    zindagī ho ga.ī barbād rasūl-e-arabī

    aap ke haath meñ hai merā chaman merī bahār

    taak meñ hai mirī sayyād rasūl-e-arabī

    koī paidā na huā koī na paidā hogā

    aap jaisā karam-ījād rasūl-e-arabī

    bigḌī 'bahzād' lillāh banā deñ sarkār

    kyoñ pareshāñ rahe 'bahzād' rasūl-e-arabī

    lab pe phir aai hai fariyaad rasul-e-arabi

    kijiye han meri imdad rasul-e-arabi

    aap ki zat har ek tarah se hai faKHr-e-zaman

    haq hai har aap ka irshad rasul-e-arabi

    thak gae hind ke ye roz-o-shab-o-sham-o-sahar

    sunte sunte meri fariyaad rasul-e-arabi

    hijr-e-taiba mein nahin ek ghaDi mujh ko qarar

    zindagi ho gai barbaad rasul-e-arabi

    aap ke hath mein hai mera chaman meri bahaar

    tak mein hai meri sayyaad rasul-e-arabi

    koi paida na hua koi na paida hoga

    aap jaisa karam-ijad rasul-e-arabi

    bigDi 'bahzad' ki lillah bana den sarkar

    kyon pareshan rahe 'bahzad' rasul-e-arabi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now