madina-o-najaf-o-karbala mein rahta hai
madīna-o-najaf-o-karbalā meñ rahtā hai
dil ek vaz' kī āb-o-havā meñ rahtā hai
mire vajūd se bāhar bhī hai koī maujūd
jo mere saath salām-o-sanā meñ rahtā hai
mayassar aatī hai jis shab qiyām kī taufīq
vo saarā din mirā zikr-e-ḳhudā meñ rahtā hai
ġhulām-e-būzar-o-salmān dil ḳhushī ho ki ġham
hudūd-e-zāviya-e-hal-atā meñ rahtā hai
darūd pahle bhī paḌhtā huuñ aur baa'd meñ bhī
isī liye to asar bhī du'ā meñ rahtā hai
nikal rahī hai phir ik baar hāzirī kī sabīl
so kuchh dinoñ se dil apnī havā meñ rahtā hai
madina-o-najaf-o-karbala mein rahta hai
dil ek waz' ki aab-o-hawa mein rahta hai
mere wajud se bahar bhi hai koi maujud
jo mere sath salam-o-sana mein rahta hai
mayassar aati hai jis shab qiyam ki taufiq
wo sara din mera zikr-e-KHuda mein rahta hai
ghulam-e-buzar-o-salman dil KHushi ho ki gham
hudud-e-zawiya-e-hal-ata mein rahta hai
darud pahle bhi paDhta hun aur ba'd mein bhi
isi liye to asar bhi du'a mein rahta hai
nikal rahi hai phir ek bar haziri ki sabil
so kuchh dinon se dil apni hawa mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.